zamin pe hai na khala mein na aasman mein hai ye khwahishon ka talatum jo baadban mein hai mila na tesha to khud hi chatak ke tut padi bala ka zor ubharti hui chatan mein hai kisi ke jism ki chhaya mein maun baitha hun mere wajud ka gautam khud apne dhyan mein hai bujhi bujhi si hain subhen thaki thaki shamen na raushni na andhera kisi makan mein hai phir apne ghar ki udasi mein laut aaya hun udasiyon ka ye jangal har ek makan mein hai na aandhiyan hain na barish na tez dhup magar chhupa chhupa sa wo kyon apne saeban mein hai latif baat bhi ahbab ko khatakti hai na jaane kaun sa kanta meri zaban mein hai