yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro us se larzan the bahut shab ke nigahban yaro us ne har-gam diya hausla-e-taza hamein wo na ek pal bhi raha hum se gurezan yaro us ne mani na kabhi tirgi-e-shab se shikast dil andheron mein raha us ka farozan yaro us ko har haal mein jine ki ada aati thi wo na haalat se hota tha pareshan yaro us ne baatil se na ta-zist kiya samjhauta dahr mein us sa kahan sahab-e-iman yaro us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat us sa hindu na koi us sa musalman yaro us ne sulatani-e-jamhur ke naghme likkhe ruh shahon ki rahi us se pareshan yaro apne ashaar ki shamon se ujala kar ke kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaro us ke giton se zamane ko sanwaren yaro ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaro