rah-e-talab mein bane wo nashtar idhar se jate udhar se aate chubhe jo kante qadam qadam par idhar se jate udhar se aate kahin na thak kar ruke koi dam tawaf-e-bazm-e-habib mein hum mile hain dair-o-haram bhi aksar idhar se jate udhar se aate jo hasrat-e-jalwa thi kisi ki to khak udai na kyun gali ki hamein lagana tha roz chakkar idhar se jate udhar se aate agar bulata bhi apne ghar mein to hum ko rakhta na wo nazar mein bahaal-e-muztar ba-shakl-e-abtar idhar se jate udhar se aate hue pareshan sab musafir na nikli surat koi bil-akhir jo rah masdud thi to kyunkar idhar se jate udhar se aate nazar thi gahri kahan kisi ki ye rah-e-ulfat mein kya khabar thi chubhenge nawak chalenge khanjar idhar se jate udhar se aate wo ishq-e-sadiq ki pak manzil wo kaba-o-dair ke marahil mile the raste mein hum ko do ghar idhar se jate udhar se aate hujum tha mai-kade mein aisa ki daur ka intizam kaisa jo rah pate to jam-o-saghar idhar se jate udhar se aate phira kiye aap rahguzar mein kabhi na thahre hamare ghar mein karam ye karna tha banda-parwar idhar se jate udhar se aate talash-e-manzil buri bala thi na thi jo qahr-o-ghazab to kya thi jagah jagah hum ne khai thokar idhar se jate udhar se aate laga rahe hain fuzul chakkar jhukaen sar un ke sang-e-dar par hum aazmaen kabhi muqaddar idhar se jate udhar se aate mariz-e-ulfat ka dam nikalta na kuchh tag-o-dau ka zor chalta wo hath rakkhe hue jigar par idhar se jate udhar se aate churain kyun aap ne nigahen ki ho gain band dil ki rahen maza to jab tha ye tir aksar idhar se jate udhar se aate kahin ho aana kahin ho jaana magar hai bistar yahin jamana hamein thaharna tumhaare dar par idhar se jate udhar se aate maqam-e-qurb-e-khuda tha mushkil magar na thi un ko fikr-e-manzil mile jinhen 'nuh' se payambar idhar se jate udhar se aate