yunhi alfaz ki rawani mein mar gaya tha koi kahani mein kar gai surkh meri aankhon ko aag rakkhi hui thi pani mein chain sadiyon ka kho diya hum ne ek lamhe ki bad-gumani mein ek din tahlaka macha dunga main tere dil ki rajdhani mein muddaton ba'd koi le aaya phir mujhe us gali purani mein khwahish-e-wasl mar gai to 'amin' ji utha hijr zindagani mein