ab qafas hai na aashiyana hai aah apna kahan thikana hai un ki har baat mein tarahdari apna har taur shairana hai kyon wafaon ka main ewaz mangun kya mera ishq tajirana hai sharh-e-gham par tumhaari chin-ba-jabin dil-e-nazuk pe taziyana hai is se badh kar koi ibaadat kya mera sar tera aastana hai hum ko aadat hai saf-goi ki is liye dushman ek zamana hai mere ashaar padh rahe hain wo uns kuchh mujh se ghaebana hai ahl-e-fan jis ko sher kahte hain kuchh haqiqat hai kuchh fasana hai 'dagh'-o-'chakbast' ki zaban urdu kam-nigahi ka ab nishana hai wo meri qadr khak jaanenge jin ki fitrat hi hasidana hai bhul jao 'bahaar' qissa-e-shauq mashwara mera mukhlisana hai