yunhi gar lutf tum lete rahoge khun bahane mein to bismil hi nazar aaenge har su is zamane mein zara dam lo to phir tum ko sunain dastan dil ki abhi kuchh rang bharna hai hamein gham ke fasane mein lahu se ho gai rangin dekho aastin apni hazaron koshishen kin tum ne go daman bachane mein yahi kah kar asiran-e-qafas aansu bahate hain qafas mein wo kahan rahat mili jo aashiyane mein kuchh aisa be-khudi-e-shauq ne behis banaya hai aziyyat ab nahin mahsus hoti tir khane mein wo barham honge duniya jaan legi raaz ulfat ka wafa par harf aa jaega do aansu bahane mein dawa ka waqt ab baqi nahin hangam-e-rukhsat hai sidhaaren chaara-gar ab der kya hai nind aane mein bala se bijliyan girti hain duniya par giren lekin maza milta hai un ko dam-ba-dam yun muskurane mein munasib hai yahi 'rifat' ki baz aao mohabbat se hai lazim jaan ka khatra kisi se dil lagane mein