yunhi jo karte rahenge mushahida dil ka chamak uthega kisi roz aaina dil ka hamari rah mein diwar utha ke duniya ne qadam qadam pe badhaya hai hausla dil ka maqam aisa bhi aata hai rah-e-ulfat mein qubul aql bhi karti hai mashwara dil ka bhatak na jae kahin dhadkanon ke jangal mein dimagh dhundne nikla hai rasta dil ka ye hichkiyon ka tasalsul bila-sabab to nahin zarur dil se tumhaare hai silsila dil ka bas itni baat pe hum ne shikast kar li qubul kisi ne de diya chupke se wasta dil ka tum apne 'shad' se hargiz na bad-guman hona ki bad-gumani se badhta hai fasla dil ka