zarurat hai kisi bhi khwab ki tabir se pahle bana lo zehn mein naqsha koi tamir se pahle azal se aashna hai dil tere jalwon se ai hamdam tasawwur mein teri taswir thi taswir se pahle badi koshish kare insan hasil kuchh nahin hota mila hai waqt se pahle na kuchh taqdir se pahle nasheman barq ki zad par banana chahta hun main tasalsul hai mera qaem har ek tamir se pahle na do zahmat mere mahbub nazuk hath ko apne main zakhmi hun ada-e-naz ki shamshir se pahle yahan dubi hui thi aadamiyat ghup andheron mein jahaalat ka andhera tha teri tanwir se pahle kisi ke naqsh-e-pa ko hum bana len rahnuma apna koi ghaalib na ho paya janab-e-'mir' se pahle zaban-e-'shad' par aata hai tera nam ai khaliq har ek aaghaz se pahle har ek tahrir se pahle