yunhi kate na rahguzar-e-mukhtasar kahin padte hain pae shauq kahin aur nazar kahin mauhum-o-mukhtasar sahi pesh-e-nazar to hai dekha kisi ne khwab ye bar-e-digar kahin mail-ba-justuju hain abhi ahl-e-ishtiyaq duniyaen aur bhi hain wara-e-nazar kahin baqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad bikhre pade hain baal kahin aur par kahin ab hum hain aur tilism-e-tamanna ki wusaten dhunde se bhi na mil saki rah-e-mafar kahin har fasla hai jalwa-gah-e-mauj-e-ittisal yani jabin-e-shauq kahin sang-e-dar kahin sadiyon ka iztirab 'tamannai' saunp dun mil jae koi lamha-e-fursat agar kahin