shahr-e-ulfat mein diya koi jalate jate mere kuche ke andhere bhi mitate jate ye mera ishq hai kamzori nahin hai jaanan sar jhukati hun sar-e-rah jo aate jate ye jo palkon pe sajoe hue hain moti hum ye to daulat hai ise kaise lutate jate aap ko dil pe mere raj agar karna tha waswase pahle mere dil ke mitate jate zinda rahne ke liye khwab zaruri hai bahut so hamein khwab naya koi dikhate jate be-qarari ki ye manzil nahin hoti 'jyoti' duriyan aap agar mujh se badhate jate