yunhi kati hai zindagi tanha gham ho chahe ki ho khushi tanha haq kahegi zaban ye meri chahe kar de ye gam hi tanha ek diya hi bahut hai jo kar de ghup andhere mein raushni tanha us ka lahja mujhe daraata hai us ko kar de na be-hisi tanha raaz dil ke dabe hi rahne do kar na de tum ko aagahi tanha mahfilen roz hi hain sajti magar phir bhi lagta hai har koi tanha sath tha yun to umr bhar koi 'rubi' phir bhi magar rahi tanha