khak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar mujh ko in chand sitaron mein nazar-band na kar ek hi bar chhalak jaane de paimana mera lamha lamha mujhe aazurda-o-khursand na kar tujh ko pahchan len ya tujh ko khuda kah baithen apne diwanon ko itna bhi khirad-mand na kar shahr-e-dilli to amanat hai mere purkhon ki is ko be-rang-o-sada misl-e-samarqand na kar wahima ho to kabhi harf-e-yaqin tak pahunche kuchh na ho jab to hikayat qalam-band na kar ishq aasan hai magar rog hai diwanon ka bar-e-gham yunhi bahut hai use do-chand na kar kya khabar kab ye utar jae ragon mein 'nami' zahr ko zahr hi rahne de ise qand na kar