yunhi se chand wahime kuchh bad-gumaniyan

yunhi se chand wahime kuchh bad-gumaniyan
takhliq in hi se huin kitni kahaniyan

kuchh kam nahin hai shokh mere dard ka bhi rang
us ki hikayaton mein go raje na raniyan

thoda junun ek zara wahshat aur inhiraf
in ke baghair chiz kya hotin jawaniyan

yunhi kabhi-kabhaar to pariyon ki baat ho
jadugari nahin sahi jadu-bayaniyan

kumba bhara bhara tha koi kal usi jagah
milti hain zer-e-khak ab us ki nishaniyan

'sonu' unhen mana ki moattar ho phir se raat
ruthi padi hain muddaton se raat-raniyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close