kisi hikmat kisi tadbir se bahar nikle

kisi hikmat kisi tadbir se bahar nikle
panw ek bar to zanjir se bahar nikle

yun hamail hui kal sham teri yaad ki hum
subh-dam nala-e-shab-gir se bahar nikle

ishq mein shahd hai is raaz se parda uttha
log jab bu-e-mughafir se bahar nikle

aaj phir bakht ne darwaze pe dastak di thi
aaj bhi hum zara takhir se bahar nikle

us ki ja wo nahin diwar ye apna dil hai
us se kah de koi taswir se bahar nikle

hijr ka gham bhi nahin wasl ki khwahish bhi nahin
le mohabbat teri jagir se bahar nikle

kuchh maza aaya hai jine ka hamein bhi 'akhlaq'
jab guzargah-e-dasatir se bahar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close