yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe main charagh ban ke jala karun to gulab ban ke khila rahe wo zamin ho ki ho aasman ye diya hamesha jala rahe main kisi safar mein rahun magar mere sath man ki dua rahe meri kamtari ki bisat hi teri bartari ki dalil hai main nasheb mein na rahun agar tu faraaz tera daba rahe nae zakhm hain nai konplen abhi dil pe gham ki bahaar hai ye dua karo ki khizan mein bhi ye darakht yunhi hara rahe