aaenge wo to aap mein hargiz na aaenge hum apni be-khudi ke tamashe dikhaenge hum naqd-e-dil jo sine mein apne na paenge duzd-e-nigah-e-yar ko chori lagaenge ai be-khudi jo aap mein hum ab ki aaenge phir dil-lagi se bhi nahin dil ko lagaenge jab su-e-dasht aap ke diwane jaenge farhad-o-qais dur talak lene aaenge parwana wo kahenge to hum un ko shoala-ru hum bhi jalaenge jo wo hum ko jalaenge kyun dabte hain honth wo danton mein bar bar kya tegh-e-lab ko aab-e-guhar mein bujhaenge dam-e-bala se dekhiye kyunkar najat ho kab tak wo hum ko zulf ki galiyan jhakaenge wahshi-e-chashm-e-yar jo niklega shahr se aankhon ko dhele aahu-e-sahra lagaenge huron se chal ke dad-e-jamal us ki lenge hum taswir-e-yar qasr-e-jinan mein lagaenge utthenge phir na baith ke manind-e-naqsh-e-pa hum apne zoaf ki tumhein taqat dikhaenge jage hue firaq ke sote hain zer-e-khak bad-khwab hon ke hum jo farishte jagaenge lene mein jins-e-dil ke to ujlat kamal hai dene mein naqd-e-wasl ke barson jhakaenge garm-e-khiram honge agar sehn-e-bagh mein angaron par wo kabk-e-chaman ko lutaenge sina-sipar hain aashiq-e-jaan-baz saikadon tegh-e-nigah-e-naz wo kab aazmaenge ab ki to hijr-e-yar mein hum gor jhank aae jite hain to kisi se na phir dil lagaenge ai shahsawar-e-naz ye mitta hai bar bar tere samand-e-husn ko hum khud banaenge hum kyun itaat in ki karen faeda 'qalaq' kya ye butan-e-dahr khuda se milaenge