yusuf-e-husn ka husn aap kharidar raha pahle bazar-e-azal misr ka bazar raha bismil-e-naz raha kushta-e-raftar raha zindagi bhar mujhe marne se sarokar raha jurm-e-na-karda uqubat ka saza-war raha shaikh sarshaar-e-siyah masti-e-pindar raha parda-e-chashm jo pas-e-adab-e-yar raha main raha samne tu bhi pas-e-diwar raha dil ye shadi-e-jarahat se hua baalida ki tera tir yahan ta-lab-e-sufar raha gir ke nazron se teri phir na zamin se uttha main subuk bhi jo hua tu bhi giran-bar raha aaj hi aaj hai farda-e-qayamat maujud do ghadi aur jo hangama-e-raftar raha tur tu barq-e-tajalli se hua khakistar aur main sokhta-e-hasrat-e-didar raha rahm us sada-dili par ki mera zakhm-e-jigar ghair se chaara-o-darman ka talabgar raha main wo ek mujrim-e-tazir talab hun ki sada badle dushman ke uqubat ka saza-war raha bas-ki dil mein rahi ek kashmakash yas-o-ummid dard jo dil mein raha jaan se bezar raha ab wo farda bhi nahin roz ki taskin ke liye ab faqat hashr hi par wada-e-didar raha pi bhi ja shaikh ki saqi ki inayat hai sharab main tere badle qayamat mein gunahgar raha khush hun chup rahne se un ke dam-e-paigham-e-visal ki ye inkar to kuchh shamil-e-iqrar raha sar pe phirta hi raha aur na gira mujh pe kabhi aasman ban ke tera saya-e-diwar raha garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina ishq-e-barham zan-e-kashana-e-pindar raha tum ne yun ghar mein to kya kuchh na uthae fitne ek qayamat ka uthana sar-e-bazar raha hae wo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-ada wae wo dil ki tera mahram-e-asrar raha main raha bhi to raha khar ki surat ki sada teri nazron mein subuk-dil pe tere yar raha chashm par nashsha-e-saqi jo rahi aks-fagan chur masti se har ek saghar-e-sarshaar raha hun mein wo jins ki hun raunaq-e-bazar-e-kasad hun wo sauda ki kharidar bhi bezar raha kuchh khabar hoti to main apni khabar kyun rakhta ye bhi ek be-khabari thi ki khabar-dar raha thak ke baithe ho dar-e-sauma par kya 'anwar' do-qadam aur ki ye khana-e-khummar raha