bichhad ke tujh se na jite hain aur na marte hain ajib tarah ke bas hadse guzarte hain zamin chhod na paunga intizar ye hai wo aasman se dharti pe kab utarte hain ye kis ne khinch di sanson ki laxman-rekha ki jism jalta hai bahar jo panw dharte hain ye chand tare zamin aur aaftab tamam tawaf karte hain kis ka tawaf karte hain? hayat deti hain sansen bas ek maqam talak phir is ke baad to bas sans sans marte hain