yusuf ki tarah raunaq-e-bazar main hi tha punji tha main hi aur kharidar main hi tha wo jis ke tir se mera sina hua figar gar tu yaqin kare mere gham-khwar main hi tha kal mai-kade mein thik hi dekha tha aap ne ba-sahiban-e-jubba-o-dastar main hi tha us ka to mere waste aaghosh wa raha duniya-e-ab-o-rang se bezar main hi tha ta umr apne aap ko deta raha fareb poshida apne aap mein ghaddar main hi tha dekha ye aap ne mera andaz-e-khud-kushi khud apne dushmanon ka taraf-dar main hi tha jis ki bina thi ret pe jis mein lagi thi lakh us qasr-e-be-asas ka meamar main hi tha ilzam us ko dun bhi to kis munh se ai 'wali' jab har suluk-e-bad ka saza-war main hi tha