matin chehra nigah dard-ashna na lage khuda kare ki tujhe meri baddua na lage kisi jarahat-e-taza ka muntazir hai dil chale khadang-e-jafa dosto nishana lage wo shah ho ke bhi shahi waqar se mahrum main wo gada jo gada ho ke bhi gada na lage jo irtiqa ke manazil hain jaanta hun main mujhe to sang bhi insan se juda na lage bata sako to batao ki haal kya hoga gada ke hath kabhi gar koi khazana lage 'wali' ko aap 'wali' kahte hain 'wali' hoga magar mujhe to wo kuchh aisa parsa na lage