zaban chup hai magar zehn ro raha hai lahu

zaban chup hai magar zehn ro raha hai lahu
ki jite-jagte logon ka so raha hai lahu

tamam umr mila zahr is tasalsul se
ki apne-ap mein tiryak ho raha hai lahu

ragon mein utri hai jo shai wo na-muwafiq hai
ki sare jism mein kante se bo raha hai lahu

bas ek daere mein raqs kar rahe hain hawas
khayal hai ki bagula bilo raha hai lahu

har ek lahza utarti kasafaten mujh mein
aur ek gardish-e-paiham mein dho raha hai lahu

koi kumak to mile ab mudafat ke liye
wagarna rang ki taqat bhi kho raha hai lahu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close