hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe

hum ahl-e-zarf ki gham-khana-e-hunar mein rahe
sifal-e-nam ki tarah dast-e-kuza-gar mein rahe

farar mil na saka habs-e-jism-o-jaan se ki hum
tilism-khana-e-takrar-e-khair-o-shar mein rahe

kisi ko qurb-e-musalsal ka hausla na hua
misal-e-dud-e-pareshan hum apne ghar mein rahe

na sang-e-mil tha koi na koi naqsh-e-qadam
tamam umr hawa ki tarah safar mein rahe

na hum sharar-e-dil-e-sang the na rang-e-hina
sukhan ki aag bane harf-e-taza-tar mein rahe

wo log jin ki zaban shoala-e-tamanna thi
sawal ban ke zamane ki chashm-e-tar mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close