zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai magar sara zamana bazm ka afsana kahta hai ba-qadr-e-zarf qismat mere saqi ki inayat hai koi paimana kahta hai koi mai-khana kahta hai hijab-e-lala-o-gul ko mah-o-anjum ke parde ko wahi kahta hun main jo jalwa-e-jaanana kahta hai shab gham mein jo apne dil se kuchh kahne ko kahta hun to jis se bakht so jae wahi afsana kahta hai khuda kahte hain kah lene do tum arbab-e-millat ko mohabbat to yahi kahti hai jo diwana kahta hai yahi iman-e-masti hai yahi hai din maston ka wahi hota hai jo kuchh saqi-e-mai-khana kahta hai yahi 'kaifi' yahi hai be-piye saqi ka matwala qadam mastana rakhta hai sukhan mastana kahta hai