zaban khamosh-o-nazar be-qarar hai ab tak chala bhi aa ki tera intizar hai ab tak ye sab numud-o-numaish hai khas tere liye tere liye hi chaman mein bahaar hai ab tak nafas nafas mein hai be-tab aarzu teri nazar nazar ko tera intizar hai ab tak teri jafaon se har qalb ho chuka nalan zahe wo dil ki jo tujh par nisar hai ab tak nahin kisi ko kisi par jo ikhtiyar na ho tujhe to dil pe mere ikhtiyar hai ab tak asar khizan ka har ek shai se ho chuka zahir bahaar-e-husn pe husn-e-bahaar hai ab tak zaban-e-ghair tere raaz fash karti hai meri nigah magar parda-dar hai ab tak chaman-taraaz-e-mohabbat hai dil ki gul-kari rawish-rawish mere khun ki bahaar hai ab tak teri zaban ne jo wade kiye wafa na kiye teri zaban ka magar eatibar hai ab tak tumhaare gham mein use lutf kuchh mila aisa hamare dil ko khushi nagawar hai ab tak dilon mein yaad teri chutkiyan si leti hai zaban pe zikr tera bar bar hai ab tak shahid-e-naz huin kitni bulbulen afsos bahaar apni jagah pur-bahaar hai ab tak ye jaanta to main yun us ko dekhta na 'junun' meri nigah se wo sharm-sar hai ab tak