muskura dengi ye aankhen ashk bhar lane ke baad aur afsana sunaunga is afsane ke baad abr-e-tira-tar mein tadpin hazaron bijliyan kis ne ye zulfon ko jhatka rukh pe bikhrane ke baad ro rahe the sab dar-o-diwar tere hijr mein zarra-zarra hans pada hai tere aa jaane ke baad kuchh khabar hai tujh ko aashiq par tere guzri hai kya is hasin chehre par in zulfon ke lahrane ke baad wo kabhi mar hi nahin sakta jo tujh par jaan de zinda-e-jawed ho jaunga mar jaane ke baad aaj teri yaad mein khun-e-jigar rulwa gain badliyan phulon pe kuchh moti se barsane ke baad yak-ba-yak parda utha kar tur ka saman kiya dafatan phir chhup gae bijli si chamkane ke baad husn bhi aakhir usi khanjar ka bismil ho gaya ishq ke majruh dil ko khub tadpane ke baad teri aamad ne dil-e-murda ko zinda kar diya phir shagufta ho gaya ye phul murjhane ke baad muskura deti hain kaliyan dekh kar teri bahaar phul khil jate hain tere samne aane ke baad ji uthunga az-sar-e-nau phir se marne ke liye phir marunga ho ke zinda tujh pe mar jaane ke baad chhat gain tarikiyan manzil numayan ho gai gham-zada dil par mere mayusiyan chhane ke baad