zaban ko apni gunahgar karne wala hun khamosh rah ke hi izhaar karne wala hun main karne wala hun har khair-khwah ko mayus abhi main jurm ka iqrar karne wala hun chhupani chahiye jo baat mujh ko duniya se usi ka aaj main izhaar karne wala hun wo jis ke baad mujhe kuchh nahin daraega wo inkishaf sar-e-dar karne wala hun machi hai khalbali aisi nazar ke aangan mein ki jaise main tera didar karne wala hun haya ke rang se gulzar ho gaya chehra pata hai us ko ki main pyar karne wala hun