lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga ghani palkon tale aab-e-rawan kaisa raha hoga dahakti aag mein wo saeban kaisa raha hoga hamare sar ke upar aasman kaisa raha hoga bahut bechain hai khak-e-bayaban sar patakti hai diwana shahr bhar mein be-aman kaisa raha hoga sitare bujh gae honge zaminen jal rahi hongi phir is ke baad sair-e-la-makan kaisa raha hoga zamin ki be-panahi dekhta hun yaad karta hun falak pahlu mein tum sa mehrban kaisa raha hoga