zaban ko hukm nigah-e-karam ko pahchane nigah ka jurm ghubar-e-alam ko pahchane wo ek jam kahan har kisi ki qismat mein wo ek zarf ki eajaz-e-sam ko pahchane mata-e-dard parakhna to bas ki baat nahin jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane wo dil jo khak hue aaj tak dhadakte hain rah-e-wafa tere mojiz-raqam ko pahchane sahar se pahle yahan aaftab ubhre hain khulus bandgi-e-chashm-e-nam ko pahchane ye khud-fareb ujale ye hath hath diye diye bujhao ki insan gham ko pahchane kisi khayal ka saya kisi umid ki dhup koi to aae ki dil kaif-o-kam ko pahchane hazar kos nigahon se dil ki manzil tak koi qarib se dekhe to hum ko pahchane jo ham-safar bhi rahe hain sharik-e-manzil bhi kuchh ajnabi to na the phir bhi kam ko pahchane bahut dinon to hawaon ka hum ne rukh dekha bade dinon mein mata-e-qalam ko pahchane