yun meri duaon mein sada kanp rahi hai jaise ki hawaon mein rida kanp rahi hai hai tere karam se hi khata-kar ki bakhshish har sans meri rabb-e-ula kanp rahi hai dhoi thi zaban garche mai-e-lala se main ne lete hue kyon nam tera kanp rahi hai kahne ko tujhe dekh hi leti hain nigahen phir taur pe kyon taba-e-safa kanp rahi hai guzri hai nasim-e-sahari aaj ye kaise har shakh tah-e-baad-e-saba kanp rahi hai aadam ki dua hogi ye maqbul suna tha phir pesh-e-khuda kis ki nawa kanp rahi hai