zaban par shikwa-e-paiham nahin hai sar-e-taslim apna kham nahin hai ye har mausam mein phalti phulti hai mohabbat ka koi mausam nahin hai manaen khair apni jaan ki sab ki mahfil mein wo atom-bam nahin hai zamin par hain sabhi aadam ke bete yahan koi kisi se kam nahin hai zamin par bhag kar jaen kahan hum kahan batlao atom-bam nahin hai hai ghar mein radio aur telewision hamein kya gham ki jam-e-jam nahin hai khuda ko hai talash-e-qaum-e-digar musalmanon mein wo dam-kham nahin hai masiha ko bula kar kya karenge hamare zakhm ka marham nahin hai sunaya qissa-e-gham tu ne 'mazhar' kisi ki aankh lekin nam nahin hai