pila de haqiqat ka ek jam saqi main leta rahunga tera nam saqi idhar bhi nigah-e-karam ho khuda-ra ki hun aaftab-e-lab-e-baam saqi ghata-top tarikiyan chaar-su hain sahar hai mere waste sham saqi gunahon ke dariya mein khata hun ghote nahin ek pal mujh ko aaram saqi mujhe apni aaghosh-e-rahmat mein le le suna hai tera faiz hai aam saqi main aaya hun le kar tere mai-kade mein tamanna-e-durd-e-tah-e-jam saqi suna de zamane ko tu az-sar-e-nau ukhuwwat ka islami paigham saqi ajab kya bana de tu is ko niko-nam ye sach hai ki 'mazhar' hai badnam saqi