zaban se be-talluq dil ko bazm-e-yar mein dekha

zaban se be-ta'alluq dil ko bazm-e-yar mein dekha
ta’ajjub-khez zabt is mahram-e-asrar mein dekha

idhar tasbih ki gardish mein paya shaikh sahab ko
barahman ko udhar uljha hua zunnar mein dekha

wo banka qatil aaine ki kuchh parwa nahin karta
kabhi dekha bhi apna 'aks agar talwar mein dekha

zamane ne mere aage bhi duniya pesh kar di thi
magar main ne to apna faeda inkar mein dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close