zaban tak jo na aae wo mohabbat aur hoti hai

zaban tak jo na aae wo mohabbat aur hoti hai
fasana aur hota hai haqiqat aur hoti hai

nahin milte to ek adna shikayat hai na milne ki
magar mil kar na milne ki shikayat aur hoti hai

ye mana shisha-e-dil raunaq-e-bazar-e-ulfat hai
magar jab tut jata hai to qimat aur hoti hai

nigahen tad leti hain mohabbat ki adaon ko
chhupane se zamane bhar ki shohrat aur hoti hai

ye mana husn ki fitrat bahut nazuk hai ai 'wamiq'
mizaj-e-ishq ki lekin nazakat aur hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close