zabt-e-alam se ishq ka charcha siwa hua aashob-rozgar dil-e-mubtala hua thi be-sabaatiyon mein haqiqat majaz ki dil kyon fareb-khurda-e-naqsh-e-wafa hua jab tak alag alag na hon ajza pata kahan mana ki zarre zarre mein hai wo chhupa hua bas ai khayal-e-tauba ki hun tishna-kaam-e-aish rakha hai mere samne saghar bhara hua be-lutf ho na jae kahin marg-e-be-kasi ye kaun ro raha hai sirhane khada hua hum us ko ek jumbish-e-abru se pa gae wo raaz jo zaban-e-adu se ada hua ai josh-e-ishq ye teri jurat se dur hai yun jalwa-gah mein rahe parda pada hua dil wo jagah nahin ki haqiqat chhupi rahe wahm-o-khayal ban ke wo aae to kya hua ujlat hui hai yaad-e-sukhan-ha-e-be-shumar wo munh chhupa ke baith rahe ye bura hua naseh ke dil mein garmi-e-ulfat kahan se ho hai ek charagh wo bhi azal ka bujha hua ab hum hain aur kashmakash-e-mauj-e-iztirab kashti duboi aur alag nakhuda hua uf ishq-e-fitna-saz ki jadu-farebiyan dil sa rafiq chashm-zadan mein juda hua rakkhi ho dar pe lash zamana ho sogwar tum ko qasam hai munh se na kahna ye kya hua khinchte hain wo khuda na kare parda fash ho kya dekhta hai goshe mein koi chhupa hua botal baghal mein hath mein saghar liye hue ye kaun aa raha hai idhar jhumta hua 'nazish' jafa-e-charkh ka shikwa baja durust be-mehri-e-butan ka tumhein samna hua