tumko paya naqd-e-hasti raegan hone ke baad

tum ko paya naqd-e-hasti raegan hone ke baad
daulat-e-nau hath aai be-nishan hone ke baad

jam gir kar hath se zer-e-asa hai chur-chur
kya jien hum rind pir-e-na-tawan hone ke baad

tere lab par aur harf-e-na-umidi ai nadim
ye sitam ahl-e-wafa ka raaz-dan hone ke baad

azm-e-masjid se tulu-e-subh se kuchh peshtar
zeb-e-mai-khana hun maghrib ki azan hone ke baad

khar-o-khas phunke laga di barq ne khirman mein aag
sadma-e-gul bhi hai dagh-e-ashiyan hone ke baad

pas-e-rabt-e-ghair hum se chhod kar rasm-e-qadim
inqalab-e-waza-dari mehrban hone ke baad

kya sitam-ha-e-azizan ki shikayat kijiye
ishq mein pamal-e-jaur-e-asman hone ke baad

uf kaha kis dard se paigham yaran-e-qafas
qabr-e-bulbul par saba ne gul-fishan hone ke baad

marg-e-ghurbat parda-e-ruswai-e-ulfat hui
tum duaen do ajal ko shadman hone ke baad

khak ho jaana hujum-e-arzu ka hae hae
jada-e-rah-e-mohabbat mein rawan hone ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close