zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya

zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya
dil ki rag rag se lahu tapka kiya

har tajalli aap ki taswir thi
is liye main har taraf dekha kiya

gham ke shoale jaan tak sarkash hue
ishq soz-e-dil hi ko roya kiya

lut len sab husn ki khuddariyan
ai nigah-e-wapsin ye kya kiya

tha tumhaare samne dil ko sukun
phir jo ghabraya to ghabraya kiya

sham-e-gham ki badh gain tarikiyan
ai charagh-e-arzu ye kya kiya

kis se paiman-e-mohabbat bandhiye
kaun kis ka rasta dekha kiya

aap se ab kya kahen is ke siwa
aap ne jo kuchh kiya achchha kiya

hasil-e-gham bhi mita kar rakh diya
ai gham-e-be-hasili ye kya kiya

tujh pe ye ilzam 'basit' kam nahin
pyar ki nazron se kyun dekha kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close