pi raha hun ki haqiqat ye faramosh nahin

pi raha hun ki haqiqat ye faramosh nahin
ahl-e-dil ke liye ek hadisa hai hosh nahin

nigah-o-dil se mere bach ke sama ja mujh mein
main khud aaghosh hun mera koi aaghosh nahin

na hata saghar-e-gul-rang labon se mere
tujh ko to hosh hai saqi jo mujhe hosh nahin

sach to ye hai nigah-e-naz tere sar ki qasam
mit ke bhi dil tere ehsan se subuk-dosh nahin

aaj samjha teri mastana nigahon ke nisar
hosh kahte hain jise asl mein wo hosh nahin

mere aaghosh-e-mohabbat mein na aane wale
kya hai duniya agar aaghosh hi aaghosh nahin

kab nahin dil mein mere kashmakash-e-wasl-o-firaq
kab wo aaghosh mein begana-e-aghosh nahin

wo bhi chahen to juda ho nahin sakte 'basit'
dil mera dil hai kisi aur ka aaghosh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close