zabt-e-girya mein bhi girya to kiya hai main ne chup raha hun pa tamasha to kiya hai main ne ab udaunga use tere falak par ek din apni mitti ko ikattha to kiya hai main ne dekhiye kis ke khad-o-khal nazar aate hain ek diwar ko shisha to kiya hai main ne ab main kuchh aur banun aisi bayabani mein tut jaane ka irada to kiya hai main ne khul ke main wasl ki baaten nahin karta phir bhi baaton baaton mein taqaza to kiya hai main ne pyar ki had hi nahin koi ye mana lekin jitna ho sakta hai utna to kiya hai main ne shayad aa jae khabar apne alawa hun kahan khud ko tanhai mein tanha to kiya hai main ne mujh mein tashkik bhi sar apna utha sakti hai ai khuda tujh pe bharosa to kiya hai main ne jaane ab kaun gali mein kahin niklun ja kar ek virane mein rasta to kiya hai main ne wo kahin hai ki nahin hai mujhe malum nahin apne hone ka ishaara to kiya hai main ne ab faqat aakhiri ishq aakhiri maqsud-'wafa' aakhiri ishq ki pahla to kiya hai main ne