zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai sanwarne ke liye apna ghar bhi rakhna hai hawa se aag se pani se muttasil rah kar inhin se apni tabahi ka dar bhi rakhna hai makan banate hue chhat bahut zaruri hai bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai ye kya safar ke liye hijraten jawaz banen jo wapsi ka ho aisa safar bhi rakhna hai hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai hawa ke rukh ko badalna agar nahin mumkin hawa ki zad pe safar ka hunar bhi rakhna hai nishan-e-rah se badh kar hain khwab manzil ke inhen bachana hai aur rah par bhi rakhna hai jawaz kuchh bhi ho itna to sab hi jaante hain safar ke sath jawaz-e-safar bhi rakhna hai