zabt-e-nala dil-e-figar na kar aag ko aur shoala-bar na kar shab-e-gham dagh-e-dil ki shama jala chand-taron ka intizar na kar shauq se phul chun chaman mein magar khar-o-khas ko zalil-o-khwar na kar mah-o-anjum pe dal badh ke kamand past zarron par apna war na kar gamzan ho jo shauq-e-manzil hai rah ke pech-o-kham shumar na kar aur paida kar apne khun se phul raat-din matam-e-bahaar na kar subh ka saz bhi to chhed zara sham ka zikr bar bar na kar sar-nigun ho na maut ke aage zindagani ko sharmsar na kar kuchh mizaj-e-gul-o-saman bhi samajh sirf nazzara-e-bahaar na kar aag se khelna nahin achchha bhul kar bhi kisi ko pyar na kar dusron ka to zikr ishq mein kya apne dil par bhi eatibar na kar khar ko bhi nazar mein rakh 'rana' gul se andaza-e-bahaar na kar