khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa khuda malum kab tuta mere pindar ka halqa tulu-e-sham bhi mujh ko nawed-e-subh-e-farda hai kahin chamke hilal-e-abru-e-kham-dar ka halqa mera khun-e-tamanna hai hina-band-e-kaf-e-qatil junun-e-shauq kaam aaya faraaz-e-dar ka halqa dil but aashna kuchh is tarah su-e-haram aaya barahman jaise nikle tod kar zunnar ka halqa talab ki rah mein pa-e-ana se barha uljha kabhi inkar ka halqa kabhi iqrar ka halqa ye ku-e-gham badal jae na ab dasht-e-tamanna se junun-angez hai zindan ki har diwar ka halqa har ek mahfil mein jaana har kisi se baat kar lena gawara kar nahin sakta mere mear ka halqa lahu qadmon se yun phuta ki zanjiren lahak utthin munawwar ho gaya zindan-e-tang-o-tar ka halqa gham-e-imroz ne paiman kiya hai ishq-e-farda se kabhi to hoga shana-gir zulf-e-yar ka halqa koi aasan na tha lekin bahut mushkil na tha 'tarzi' meri zarb-e-nafas se khul gaya asrar ka halqa