zabt-e-nala se aaj kaam liya girti bijli ko main ne tham liya pa-e-saqi pe tauba lot gai hath mein is ada se jam liya phul ka jam jab gira koi hum ne palkon se badh ke tham liya aafrin tujh ko hasrat-e-didar chashm-e-tar se zaban ka kaam liya dil jigar nazr kar diye mai ke de ke do shishe ek jam liya ulti ek hath se naqab un ki ek se apne dil ko tham liya tark-e-mai ki hui talafi yun nam saqi ka subh o sham liya aa gai kya kisi ki yaad 'jalil' chalte chalte jigar ko tham liya