zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna itna aasan bhi nahin tujh se mohabbat karna tujh se kahne ki koi baat na karna tujh se kunj-e-tanhai mein bas khud ko alamat karna ek bagule ki tarah dhundte phirna tujh ko ru-ba-ru ho to na shikwa na shikayat karna hum gadayan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn umr bhar kar-e-nadamat pe nadamat karna ai asir-e-qafas sahr-e-ana dekh aa kar kitna mushkil hai tere shahr se hijrat karna phir wahi khar-e-mughilan wahi virana hai ai kaf-e-pa-e-junun phir wahi zahmat karna surat mah-e-munir ab ke sar-e-baam aa kar hum gharibon ko bhi kuchh ranj inayat karna jama karna tah-e-mizhgan tujhe qatra qatra raat bhar phir tujhe tukdon mein riwayat karna kaam aisa koi mushkil to nahin hai 'khawar' magar ek dast-e-hina-rang pe baiat karna