tum dil ki dil mein rakkho bataya nahin karo yun kah ke dastan rulaya nahin karo mujh se bichhad ke rahta hai dil-shad ek shakhs ye man-ghadat kahani sunaya nahin karo aankhon ke gird halqe pade jag jag kar nindon ko meri aise udaya nahin karo meri ghazal ka tul tumhaare sabab se hai tum soch ban ke sher mein aaya nahin karo tare shumar karti hun shab bhar firaq mein tum dur mujh se jaan meri jaya nahin karo mazlum ki sada se na aa jae inqalab itna ziyaada zulm bhi dhaya nahin karo koshish karo 'sabila' ke sab tum se khush rahen nahaq kisi ke dil ko dukhaya nahin karo