zabt ki haar dil-e-zar na hone pae

zabt ki haar dil-e-zar na hone pae
dekh ruswa tera kirdar na hone pae

baghban ye bhi hai tazin-e-chaman ka hissa
gul ke pahlu se juda khar na hone pae

baat khud karte hain takrar ki us par ye sitam
khud hi kahte hain ki takrar na hone pae

rind chaunkenge to maikhane ki phir khair nahin
dekh saqi koi hushiyar na hone pae

ai nasim-e-sahari aur zara aahista
husn khwabida hai bedar na hone pae

un ke jalwon mein is andaz ki tabani hai
samne aaen to didar na hone pae

hai mohabbat mein yahi shart-e-mohabbat 'zakir'
ranj ho ranj ka izhaar na hone pae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close