zabt se na-ashna hum sabr se begana hum kyun kisi se mangte jaen charagh-e-khana hum khud hi saz-e-be-khudi ko chhed dete hain kabhi khud hi sunte hain hadis-e-saghar-o-paimana hum dafatan saz-e-do-alam be-sada ho jaega kahte kahte ruk gae jis din tera afsana hum sham-e-aiwan-e-haram ho ya charagh-e-taq-e-dair hum ko donon se talluq hai ki hain parwana hum dil jala phir khud jale phir sari duniya jal uthi soz lae the ba-miqdar-e-par-e-parwana hum jab hamein diwana banna hai to kaisi maslahat maslahat ko bhi bana lenge tera diwana hum bas-ki hai 'simab' be-mehri yaganon ka shiar hain rahin-e-iltifat-e-khatir-e-begana hum