dil baham pahuncha badan mein tab se sara tan jala aa padi ye aisi chingari ki pairahan jala sarkashi hi hai jo dikhlati hai is majlis mein dagh ho sake to shama san dije rag-e-gardan jala badar san ab aakhir aakhir chha gai mujh par ye aag warna pahle tha mera jun mah nau daman jala kab talak dhuni lagae jogiyon ki si rahun baithe baithe dar pe tere to mera aasan jala garmi us aatish ke par kale se rakhe chashm tab jab koi meri tarah se dewe sab tan man jala ho jo minnat se to kya wo shab nashini bagh ki kat apni raat ko khar-o-khas-e-gulkhan jala sukhte hi aansuon ke nur aankhon ka gaya bujh hi jate hain diye jis waqt sab roghan jala shola afshani nahin ye kuchh nai is aah se dun lagi hai aisi aisi bhi ki sara ban jala aag si ek dil mein sulge hai kabhu bhadki to 'mir' degi meri haddiyon ka dher jun indhan jala