zabun-o-khwar hui hai meri jibillat bhi mere nasib-o-wirasat mein se imamat bhi ajab hiras mein tha mere mausamon se ghanim ki de raha tha use bhagne ki mohlat bhi wo jab bhi aaya kam-o-besh mujh pe war gaya mujhe ye shauq ki lata kabhi zarurat bhi main apne zahr se waqif hun wo samajhta nahin hai mere kisa-e-sad-kaam mein sharafat bhi samajh rahe the main tanha hun be-basirat log pas-e-ghubar chali aa rahi thi khilqat bhi agar saliqe se koi giraft mein lae main odh leta hun aksar rida-e-tohmat bhi main nind mein tha ki sargoshiyon ke raqs mein tha udhar thi naqa-e-umr-r-rawan ko ujlat bhi ai shahsawar mujhe baadshah bana ke to dekh main kat dalunga sar-rishta-e-baghawat bhi usi ne rakh diya mujh ko samet kar 'haqqi' wo jis ke nam se mujh ko mili thi shohrat bhi