zad pe aa jaega jo koi to mar jaega waqt ka kaam guzarna hai guzar jaega khud use bhi nahin malum hai manzil apni jaane wale se na puchho wo kidhar jaega aaj andhera hai to kal koi charagh-e-ummid matla-e-waqt pe suraj sa nikhar jaega is taraf aag ka dariya hai udhar dar-o-rasan dil wo diwana ki jaega magar jaega koi manzil nahin baqi hai musafir ke liye ab kahin aur nahin jaega ghar jaega ku-e-qatil mein tahi-dast ko ja milti nahin jo bhi jaega liye hath mein sar jaega kitni tariki hai shahr-e-dil-o-jaan par tari koi andaza nahin kaun kidhar jaega ek gul-dasta banaya tha pa-e-rahat-e-jaan ab ye andesha hai har phul bikhar jaega ek din aisa bhi qismat se mile jab 'aslam' raqs karta hua mahbub-nagar jaega