zahe-nasib ki unki koi KHabar aai

zahe-nasib ki un ki koi khabar aai
andhera dur hua raushni nazar aai

wo ek tum jo kabhi waqt par nahin aae
tumhaari yaad har ek sham waqt par aai

khayal-e-duniya-o-uqba gham-e-wajud-o-adam
kai azab liye umr-e-mukhtasar aai

suni gai hai wahan par har ek ki fariyaad
bas ek apni sada thi jo laut kar aai

koi na aisa tha jo apne sath ho leta
bas ek dost thi tanhai apne ghar aai

jahan khud apne hi sae ne sath chhod diya
rah-e-hayat mein aisi bhi rahguzar aai

gunah kar ke bhi wo parsa raha 'nadim'
tamam tohmat-o-ruswai mere sar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close